Badnaam mere pyaar kaa afsana huya hai Dewane bhi kahte hain ki dewana huya hai Rishta tha tabhii to kisi bedard ne todaa Apna tha tabhi to koi begana huya hai
Badal ki tarah aa ke baras jaayie ik din Dil aap ke hote huye viraana huya hai
Bajte hain khayaalon mein teri yaad ke ghungroo Kuchh din se mera ghar bhii pari khana huya hai
Mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabii Jis phool ko dekhoon wahi paimanaa huya hai.